Google+ account ho rha hai delete | account me rakhe data ko kare delete hone se pahle download..

Google+ me hai agar apka account to photo video aur data ko kar le download nahi to ho jayega delete.Google ne Dec 2018 me announce kar diya tha ki Google+ ki sevaye 2 April 2019 ko band ho jayega aur 4 feb se aap new Google+ profile page event aur group nahi bna payenge.

Dosto yah bhi bta de ki google plus ko band karne ka karn kya hai?
To google plus ki seva ko band karne ka faisla isliye liya gya kyuki is seva ka upyog bahut kam ho rha hai aur kam user hone ke karn uske maintainace karna chunautipurn ho rha hai ya yu kahee is ghata ho rha tha.

Inke anusar 2 April ko sabhi ke Google+ account aur aapke dwara bnaye gye sabhi Google+ page band ho jayenge aur sath hi Google+ par maojud aapke data bhi delete kar diye jayenge.To aap apni photo,video aur google+ me jo bhi data hai use download kar le.
Apne data ko download aur save karne ke liye Click kare.

Kuch aur jankari jo aapke liye behad jaruri hai -
Agar aap sites aur application me signin ya login karne ke liye Google+ button ka upyog krte hai to ye button band ho jayega.
Agar aap Google+ ke madad se apni ya kisi dusri sites par comment karte hai to yah suvidha-
Blogger se 4 feb tak aur dusri sites se 7 march tak hta di jayegi.

Previous
Next Post »